Shiddat se dua karo in mubarak dino mein, Khuda ko yaad karo unke kitabo ke panno mein, Sajda har namaz ka ada karo waqt pe, Fir dekho karishma khuda ka apni zindagi ke safar mein...
Yu tau hm raaz sab ko nai btate lekin, Aaj dil ne fariyaad kiya ke raaz e dil suna du, Tujhko tau shayad andesha bhi na hoga ke pyar hm kitna karte, Bas aaj zubaan bhi saath de tau tujhko mein yeh bta du...
Shikayat hi tau karte hai hm iss badal aur mausam se, Q usko mera na bna diya jisko hm shiddat se chahte the, Manzil tau door ki baat thi hum tau baarat bhi na chahte the, Bas ek ahsaas ki umeed rakhi thi jisko mausam ne razamandi di thi...
Faqt ek mulakaat ne yu chehra ranga diya, Uski ek muskurahat ne dil ko jeeta diya, Kash hum unse baar baar yu milte, Chehra bhi apni laali ka shauk pura kar jaata...
Yu tau hm kehte nai apne raaz e dil hmraaz, Tere dil fir bhi njane kaise jaan leta hai dil e mera haal, Chup nigaho mein padh lete ho jo dil mein hai chupa, Kaise raaz ko raaz rakhe hm ab tu hi bta de aie mere Khuda...
Itni tau begarazi na farmaya kijiye, Ek hi pal mein apna aur paraya na kiya kijiye, Haq se kehte hai hm jo bhi kehte hai dost, Yu tau rusvai ke parde hamesha na giraya kijiye...