Aaj tau chand bhi fakhr se muskura raha hai, Aa gaye din Khuda ke paas ibadat ki, Ek hi tau fakat sar zameen pe mauka hai, Gunaah sajdeh mein gir gar maaf karvane ki...
Shiddat se dua karo in mubarak dino mein, Khuda ko yaad karo unke kitabo ke panno mein, Sajda har namaz ka ada karo waqt pe, Fir dekho karishma khuda ka apni zindagi ke safar mein...
Yu tau hm raaz sab ko nai btate lekin, Aaj dil ne fariyaad kiya ke raaz e dil suna du, Tujhko tau shayad andesha bhi na hoga ke pyar hm kitna karte, Bas aaj zubaan bhi saath de tau tujhko mein yeh bta du...
Shikayat hi tau karte hai hm iss badal aur mausam se, Q usko mera na bna diya jisko hm shiddat se chahte the, Manzil tau door ki baat thi hum tau baarat bhi na chahte the, Bas ek ahsaas ki umeed rakhi thi jisko mausam ne razamandi di thi...
Faqt ek mulakaat ne yu chehra ranga diya, Uski ek muskurahat ne dil ko jeeta diya, Kash hum unse baar baar yu milte, Chehra bhi apni laali ka shauk pura kar jaata...
Yu tau hm kehte nai apne raaz e dil hmraaz, Tere dil fir bhi njane kaise jaan leta hai dil e mera haal, Chup nigaho mein padh lete ho jo dil mein hai chupa, Kaise raaz ko raaz rakhe hm ab tu hi bta de aie mere Khuda...
Itni tau begarazi na farmaya kijiye, Ek hi pal mein apna aur paraya na kiya kijiye, Haq se kehte hai hm jo bhi kehte hai dost, Yu tau rusvai ke parde hamesha na giraya kijiye...
Apni yaado ko fir bhi hm dil se nikal denge, Uski yaado ko kaise sine se farikh karde, Wo tau kabil e tariff bhi nai fir bhi, Dil tau kehta hai ussi se pyar hm kare...
Kuch tau waqt do hamme apne dil ke tukre ko sambhalne mein, Kuch tau tanhaie do hamme hmare aap ko sambhalne mein, Muskurahat ka zariya tau har waqt hota hai pehlu mein, Kuch tau shikayat karne do hmko iss befavai ke burqe mein...
Yeh churiyo ke khanat mein sunle tu zara, Apne dil mein chupi hui sunle tu naam zara, Tu tau malum hai kbi na kahega, Aaj dil kehta hai main kehdu tau zara...
Usne jo kahan woh hm sun na paye, Waqt guzarne ke baad yeh ahsaas hua, Pyar ke shabd ko hm unse samajh na paye, Uske jaane ke baad dil ko ahsaas hua...
Yu tau hum kuch kehte nahi, Lekin jab kehte hai tau chup rehte nahi, Aksar yu hota hai ke dil ki baat reh jaati hai, Bas yuhi dunya ki baato mein waqt guzar jaata hai...
Ek muddat se humne dastane mehfil ko nai sajaya, Tere jaane ke baad tau lafz ne bhi dga de diya, Intezaar mein diye ab bhi shama ki aur dekhte hai, Laut ke aaja aur dekh kitne aakho mein aasu saje hai...
Tere pyar mein woh sadagi hai jisme hum dhoob gaye, Aisi kashish ki nazre hai ke hum usme gum gaye, Tu tau teri sadagi pe faqr bhi na karti, Lekin hum issi sadagi pe jaan o jigar lutate...
Teri mohabbat mein aise dhoobte jaate ke, Farishte bhi ab hmpe taras khaate, Kya hoga yeh divani ka puchte Rab se, Isko tau jannat mein bhi aaram na mile...
Itni tau kashish hai iss mohabbat mein mere, Khuda ko bhi hila du gar tu keh de, Hum apni aashiqui par guroor na karte, Magar farishtao bhi mangne aate hai tujhe mujhse...
Tu kya jaane yeh ishq ke dariya mein jhalna kya hai, Jisko ishq ka matlab ni pta usko ishq mein marna kya hai, Yeh woh haqeeqt hai jisse log aksar mehroom hai, Ishq mein jeena hi tau zindagi mein jeena hota hai...
Dil mein ek sukun milta hai jab paas tu aa jaata hai,
Ek kashish ka ahsaas hota hai jab tu nazdeek aa jata hai,
Tere saaso mein gul jaati hai mere saaso ki khushboo,
Yeh ishq bhi najane kis rango mein humko nehlata hai...
Na din mein chain, na raat ko sukoon,
Aakho mein bas gumte hai uska hi junoon,
Usne is tarah dil pe kabze kiya ke,
Ab tau rooh bhi mang rahi hai milaab ki dua...
Shabdo ke boondo mein mayna nai dhundte,
Pyar ke mausam mein aaina nai dhundte,
Jo dikhta hai wohi tau mohabbat ke thande lehre hai,
Dhoobne ka dil chahe tau bhaagne ka zariya nai dhundte...