Bihori ki namaazo mein sar ko jhukana,
Farizat ke namazo ko bhi na bhulana,
Ramadan mein ek raat hoti hai umeed puri karne ki,
Ya Rab dena kuvat humko har arkaan ko nibhana...

Yu tau Khuda hm gunaao mein dhoobe hua hai,
Fir bhi ek askh hai ke tu kabul karle,
Fariyaad jo dil karta hai gunaah maaf karne ki,
In mubarak dino mein tu zara unpe gor kar le...

Aakho ki zubaan tau samajh na paaya,
Dil ki zubaan bhi parakh na paaya,
Likh diya khat fir uske naam pe,
Dekhte hai aakhe dekhi kitna samajh paata...

Tune izhaar kiya fir moo mor liya,
Hmne iqraar kiya aur intezaar kar liya,
Yeh kaisa ishq hua jahan tanhaie mila,
Tu saath hai fir bhi q hai itni sari dooriyaan...

Yeh ek hi tau dor hai jis mein zanjeer jaisi taqat hai,
Yeh ek hi tau rishta hai jo faulad ki tarah majbut hai,
Ek baar kissi ne dhaga baand liya,
Zindagi bhar ka naata samjho sanjog mein paa liya...

Ek ajeeb si kashish hai jb se dil mein mohabbat jgi hai,
Usne na aane par njane kitni saase thami hui hai,
Woh ek baar muskurake kehta mera naam aur hm ho jaate hai benaam,
Aisi kashish hai uske pyar mein...

Haatho se hum tau bande hua hai,
Apni hi taqdeero ke boj se dabe hua hai,
Aasha tau nai ke kuch karishma ban jaye,
Fir bhi dil mein ek aag jaagi hui hai...

Yeh gulaab ki mehak mein chupi ek khushi,
Khushi mein chupi hai dil ki awaaz,
Awaaz gunj ta hai ek hi ka naam,
Naam jiska jo ap rooh mein bas gaya hai...

Kuch iss tarah tanhaie ne dil pe kabza kiya hai,
Ke farz aur karz ke darmiyaan dil tham gaya hai,
Kiski sunu aaj mein dil ya dimag ka,
Yeh kash ma kash mein raat bhi guzarti jaaye...

Lakiro ki hm tauheen na karna chahe lekin,
Itna tau haq hai ke hm shikayat kare,
Jo likha hai haatho pe woh psand nai hamme,
Jo chahte unko paane ka sapna bhi na dekhe?

Usne kahan ek baar tau hmse pyar karke dekho,
Aasmaan ke jannat ko zameen pe utarenge,
Hum darr gaye ke jannat gar zameen pe mil jaye,
Tau kahi hum dunya hi haai mein Khuda ko na gavaah de...

Ek hi tau shama hai jo roshan kiya hai,
Teri aakhen hi hai jisne yeh karishma kiya hai,
Tu jab bhi dekhti meri ore yu pyar ki nigaho se,
Dil mein ujala hi ujala bas ho jaata hai...

Yeh mehfil mein sab kuch hai lekin tu nahi,
Tera q intezaar kare har waqt yeh nadaan dil,
Tu tha saath fir bhi tanhaie thi lekin,
Ab tau woh tanhaie bhi lagti kitni pyar bhari...

Saas kahan baaki hai sine mein mere,
Bas zinda lash hai jo chal rahi hai,
Uske pyar mein hmne kya kya gava diya,
Roo tak na chodha usne apne nishane mein...

Apni mulaqat bhi ho gai afsana,
Ek mashoor si kahavat ki tarah gunj rahi har jagah,
Tujhme aisi meri dharkhan sama gai k,
Log tujhme hm aur mujhe tum dekh rahe hai...

Darshan ke liye mulaqat ka zariya hi q,
Apni mohabbat ko dikhane ke liye dil ka vasta hi q,
Aakho se baatein aur zubaan pe chupki lgi q,
Jo dil mein basta hai usko btane mein itni sharam aur ha'yya q...

Kehte hai kuch din se dil vada paichain hmara,
Sunna hai ke dil ko rog laggaya hai bichara,
Kissi ki yaado mein gum raha hai bina koi sahara,
Jo dil chahta woh tau kbka ho gaya hai paraya...

Muddat ke baad aaj hmko aaram mila,
Tere baho mein saune ka sahara mila,
Har din teri hi yaado mein guzarti jo din,
Aaj us sapne bhare din ko jeene ka khayal aaya...

Kisko kehna hai, kisko dikhana hai,
Pyar ke do lafz par koi haqdaar nai,
Yeh tau khullli fizao ki tarah har dil mein rehta hai,
Is par kbi kissi ka koi zor nai...

Ek ibadat hi tau hai jiske liye hm waqt nikalte hai,
Warna insan duniya ke musibato mein gum ho jaatein hai,
Ek ishara hi kaafi hai Khuda ko karishma dikhane mein,
Aur hm insan dar badar bhagte hai unko khwaish samjhane mein...

Aaj tau chand bhi fakhr se muskura raha hai,
Aa gaye din Khuda ke paas ibadat ki,
Ek hi tau fakat sar zameen pe mauka hai,
Gunaah sajdeh mein gir gar maaf karvane ki...
